MUJHE POOCHNA HAI

Few lines on the plight of the children of Syria....






Mujhe poochna hai tujhse ae zulmi,
Kon hai yeh tera khuda?
Jisne dikhai tujhe jannat ki rah,
masumon ki qabron se guzarte hue.

Mujhe toh lagta hai voh dhongi,
Mujhe toh lagta hai voh haivan.
Itna kroor aur pathardil nhi hai uparvala,
Yeh kayarta dikhane vala hai koi insaan.

Mujhe poochna hai tujhse ae zulmi,
konse parvardigaar ke naam pe itni tabahi machayi tune?
Aisi koi kom nhi bni na koi aisa mazhab bna,
Jo yeh btaye ki bachon ka khoon bahao.

Meri guzarish hai mamta se uss zulmi ko baddua mat dena,
Kyunki voh abh isske bhi layak nhi rha.
Meri toh bas yhi fariyaad hai;
Ki uparwale! Tere dar pe dharti se farishtey padhare hai,
Inka khayal rkhna.

Mujhe poochna hai tujhse ae zulmi,
Abh tu isse bdha aur kya gunah kar lega?
Tu krta reh qayamat ka intezar,
Tujhe jahnum bhi naseeb nhi hoga!

Ae zulmi! Tujhe toh khuda qayamat ke din dekhlega,
Tujhe toh KHUDA qayamat ke din dekhlega.
Tabh tak filhaal voh apni jannat mai ihn nanhe farishton ke saath khelega,
Ihn nanhe farishton ke saath khelega.
    




Comments

Popular posts from this blog

MYSTERY BEHIND THE ORIGINS OF TAJ MAHAL

A MYSTERIOUS ENCOUNTER

MIRZA AND SAHIBAN: A TRAGIC LOVE STORY